Monday, February 20, 2012

Friday, February 17, 2012

Friday, August 24, 2007

Aur Pila de mujhko saqui jitni ho paimane mein,
Mujhsa maikash kahan milega is sare maikhane mein.
Teri khushboo teri ahat rang bhi tera kya kehna,
Choom le mere labon ko zalim sabr nahin deewane mein.
Door hun tujhse aj nahin kal hona to ye lazim tha,
Tujhse mohabbat rooth gayee hai kuch na raha pachtane mein.
"Adil" tune mai se mohabbat karke kitna ghalat kiya,
Ab to ye mat bata ke zalim bhool hui anjane mein.
Yun hi apni jan kisi par nisar na karna,
Zakhm naye de de aisa ghum gusar kya karna.
Unki talash me khake chaman bhi chan liya,
Arzuen bar na ayen aisa visale yar kya karna.

Saturday, July 7, 2007

Kya hai ghum jo hain hum do kinaro ki tarah,
Na hui zeast jo apni bhi baharon ki tarah.
Is ishq ne kitnon ka chaman loot liya,
Hue ek hum bhi barbad hazaron ki tarah.
Kaliyan murjha si gayin dil ka chaman lut sa gaya.
Ab to ye phool bhi lagte hain shararon ki tarah.
Rah ke zamin pe mil na sake hum "adil",
Chalo ab arsh pe milte hain sitaron ki tarah.
Ahle wafa ke badle jo thokar lagai hai,
Aur kuch nahin hai thodi si bevafai hai.
Zakhmo pe zakhm khate rahe uf nahin kiya,
Chikhi hamari rooh bhi chot aisi khai hai.
Qadmon ne Khud hi dhondh liya rahe maykada,
Bas ye dava hi ab talak na azmai hai.
Doob ke paimane me phir uski yad ayi,
Ghum ki dava ne atishe ghum bhadkai hai.
Kaise kate safar ye bahut lamba hai "adil",
Utni bachi hai zindagi jitni bitai hai.