Friday, August 24, 2007

Aur Pila de mujhko saqui jitni ho paimane mein,
Mujhsa maikash kahan milega is sare maikhane mein.
Teri khushboo teri ahat rang bhi tera kya kehna,
Choom le mere labon ko zalim sabr nahin deewane mein.
Door hun tujhse aj nahin kal hona to ye lazim tha,
Tujhse mohabbat rooth gayee hai kuch na raha pachtane mein.
"Adil" tune mai se mohabbat karke kitna ghalat kiya,
Ab to ye mat bata ke zalim bhool hui anjane mein.
Yun hi apni jan kisi par nisar na karna,
Zakhm naye de de aisa ghum gusar kya karna.
Unki talash me khake chaman bhi chan liya,
Arzuen bar na ayen aisa visale yar kya karna.